रविवार, 13 जनवरी 2013

भारत पाक जन शान्ति वार्ता -Mass Indo-Pak peace talks


Facebook Friend Pashtun zmarie [Pukhtoon Students Federation Punjab
Lives in Karachi, Pakistan] just happened to conversation
amarnath madhur- jay hind



Pashtun zmarie-iska matlab kia hai ?

amarnath madhur- matalb salam se hi hai.
ye sarahad par jhgada hai na isliye thoda watan prast ho gaya hun, aur koyi bat nahin hai.

Pashtun zmarie-acha acha ,,app kese hen?

 amarnath madhur-main theek hun. aap sunayen aapake yahan kaisa chal raha hai?

 Pashtun zmarie- hamre yahan bi teek hai.

 amarnath madhur- bhayi hamare fauji ka sir lota do, yahan bahut naaraajgi hai.


Pashtun zmarie- kon sa sir?


 amarnathmadhur- bordar par pakistani foji katakar le gaye hain.


Pashtun zmarie- yar ye sab jhooth hain,,hamare yahan bhi isi tarah ki kabaren chal rahi hain ki india na hamare faujiyon per hamala kar ke uhne mar diya hai.

amarnath madhur-isiliye to poochh raha hun ki tumhare yahan sab theek hai? foj takhta to nahin palat degi?

Pashtun zmarie-nahni nahni agar fouj ne aisa kiya to ham log fauj ke kilaf uth kare honge.
app log be fikar ho jaao pakistan ki awam hindustan ke sath achchhe talukat chahati hai.

amarnath madhur-ham bhi paakistaan ki jamhuriyat ko aabad dekhana chahate hain.


 Pashtun zmarie- fir to koi masla nahi hai. ya america or angrez nahi chahate hain ki ham do mulko ke beech achchhe talukat hon.

amarnath madhur-yahi bat to hai jo log nahin samajhate hain. yahaan sab ldaayi par aamada hain.

 Pashtun zmarie-hmmmmmm


 amarnath madhur-nahin ham ladaayi nahin hone dengen.


 Pashtun zmarie-agar ldaayi howi to dono mulk barbad ho jahenge. kuda hame barbadi se bachaen

 amarnath madhur-ham nahin ladenge.

 Pashtun zmarie-inshallah.


 amarnath madhur-kya main ye guptgu apnee waal par de sakata hun ? yah achchha rahega.

5:07am
Pashtun zmarie-jaise app ki marzi


amarnath madhur- aap bhi den.sarakaron se nahin ham logon se bhaayichaara badhega.

Pashtun zmarie-bilkul teek kaha.

0 टिप्पणियाँ:

एक टिप्पणी भेजें